Kyun na ek baar fir pyar kiya jaye
Kyun na ek baar fir khud ko barbad kiya jaye
Wo haseen chehra wo muskurahaton ki kaliyan
Wo kaatilana adayen wo nazar ki churiyan
Kyun na fir uspar jaan lutaya jaye
Kyun na ek baar fir pyar kiya jaye
Wo baton baton pe muskura dena
Nazar jhuka ke fir se uthana
Wo unglion se laton ko suljhana
Thoda jhuk ke fir se sambhalna
Kyun na uss par khud ko mitaya jaye
Kyun na ek baar fir pyar kiya jaye
Wo tarasa hua badan wo husn ki angdaiyan
Kapkapati hoto ki kasis ankho se chalakta jaam
Wo mud mud ke dekhna aur muskura dena
Kyun na usse khwabo mein fir sajaya jaye
Kyun na ek baar fir pyar kiya jaye
Kyun na ek baar fir khud ko barbad kiya jaye…
- Tapas Ranjan
No comments:
Post a Comment